Politics,economics,wo neta kya kar raha ye yahan ghoos kha raha hai ...ye sab baatey mujhe samajh nahi aati isliye shayad mei kabhi is baarey mein nahi likhti..kisi ke kya usool hai..blog likhne ka kya rule hai mujhe nahi pata..mujhe bus itna pata hai ki in sab se hatker jab ek insaan shaanti se baithna chahta hai... jab ussai kisi ke samne dikhwa,strong ,samajhdar banney ki zaroorat nahi to jo akely mei wo feel karta hai mei wo likhti hun...
aise hi ek news padi owner killing ki...wow..kya naam diya hai is media ne isai...owner killing!!!!!!!!
izaat ke khatir apne hi bacho kha khoon..jis inssan ke andar dil hoga wo kabhi aisa nahi kar sakta..arrey dil izzazt hi nahi de sakta ki jis bache ko tumne itne saal pyar kiya..jisko neend nahi aati to ma bhi pareshan rehta..uski achi eduction ke liye pita
itni mehnat karta ki uske bache ko kabhi koi kami nahi aaye...aagaey jaker jab wo bacha bada ho jata hai..usai faisley lene ki samajh aajati hai..jab wo kisi se pyar karey bina aapki izzazt se to usai uski zindgi jo aapki di hui hai uss sai cheen li jati hai ..Per Kyun??????????
Phir jab socha tab samjh aaya ki aaj tak owner killing mei to ma baap involve they hi nahi..kahin ko chacha,batija..rishtedar hi shamil they...or agar kahin koi ma pita shamil hai bhi to mein davey se keh sakti hun ki unka dil fat ke niche aajata hoga jab wo apne hi kalejey ka humesha ke liye so jane ke liye un samaj ke thekedaro ko saump dete hongey..
Pyar koi lakeer nahi dekhta..koi jaat,koi umar,koi samaj nahi dekhta..pyar samaj se nahi,paiso se nahi,parivar ke status nahi..insaan se hota hai..yehi to khoobsurti hai pyar ki..wo insaan ki parakh janta hai..
Bade budhey kehtey hai ki aaj kal ke bache shaadi ka matlab bhultey ja rahey hai...mein janna chati hun ki unki nazar mei shaadi ka kya matlab hai????? agar ye sawal koi unse puchne jaye to kai aise log mil jayenge jinke paas iska jawab nahi hoga..or jo denge wo yehi kahenge shaadi do parivaaron ka milan hai..dukh sath mei pati patni humesha saath rahe..ye do aatmao ka milan hai...Par kya sach mei unka in sabdo se matlab hai...To fir Owner killing kyun??..
Par nahi wahin ek shabd unke muh se nikalta hai ladka ya ladki ek caste ke hi hone chaiye...???to matlab ek chota dayra bana diya hai ki apna jeevan sathi agar chunna hai to isi dayre mei chuno itni azadi detyey hai..nahi to tumharey paas koi choice nahi ..fir chaye wo insaan apas mei kabhi khush reh paynge ya nahi..kabhi ek durey ko samajh payngey ya nahi..Bus tumhara luck hai just like gambling...bus daav pe paiso ki jagah lagti hain do zindgiyan...
ek sawal ka jawab chaiye ki aapkey liye kon sabse zyada zaroori hai wo samaj jo kabhi aapkey dukh mei nahi aatey or dikhve ki liye aa bhi jayen to peeth piche kuch or hi kehtey hain..jo agfar aapke ghar mei khaney ko roti nahi..to appke gfhar aaker ek baar aapko dekhnege bhi nahi...Ya wo zaroori hai jisko appne itne saal apni mehnat ki pai pai laga kar bada kiya..jo aapse bht pyar kartey hai..chahey jo ho jaye appko chorh ker nahi jayenge...Aap itne samjhdar ho ki ye faisla kar sako ki kon aapke saath humesha rahega appka khyal rakhne ke liye..
Yehi samaj jo ek ladka or ladki mei itna farak karta hai ki agar ek ladke ko kahin apni caste mei ladki nahi mil rahi to apne vansh ko aagey badhane ke liye kisi bhi caste ki kaisi bhi ladki se shaadi kara deta hai...wahin agar ladki ke layak agar apni caste mei koi ladka nahi mil araha to chahey ladke mei koi kami ho..ladki ki shaadi hogi to usi caste mei ffir chahey uske baad us ladki ki zindgi ka kuch bhi ho...Purush pradhan desh..Huh!!! jahan seirf purush ki zaroorat ka khyal rakha jata hai..or aurat ko sirf maas hadiyon ka shareer samjha jata hai...Aaj tak owner killing ladkey walon ki taraf se nahi hui..sirf samaj ko ladki ka hi har faisla galat samajh aata hai..purin panchayat ke samne uski izzat ki dhajiyan usdaker ye kaha jata hai ki is ladki ke faisley ki usai yehi saza milni chaiye ki bhari duniya mei uski izzat uda di jaye...aise kai example aaye hai samne jiski wajah se pata chal gaya hai ki bhagwan ne duniya mei aurat banaker sabse badi galti ki..kyunki koi unki izzat nahi kar sakta yahan uski mamta uska pyar koi nahi dekh sakta is duniya mei..usai sirf ek hi nazar se dekha jata hai...ki aadmi ke zarrorat ke hisaab se uska kya use ho sakta hai aurat koi bus wohi kaam karna chaiye..uski apni koi chaht koi arman koi khawishey nahi....
Ye samaj itna hypocrypt hai..ye sab janntey hai fir bhi kabhi apne aapko nahi badal saktey..
Samaj to insaan se bantey hai..samaj sangati ki tarah hi hain..apko ussi sangati mei rehna chahiye jo apki tarah soch rakti hai ya aap ussai kuch acha seekh saktey hai...zabardasti saalon se chali aa rahi baaton ko manna zaroori nahin agar aap us sai sehmat nahi sirf is dar se ki aaj trak kabhi wo nahi hua...badlaav humesha pehli baar hi hotey hai...or jab bhi badlaav hua hai uski charch hui hai...par aagey jaker wahi badlav zaroorat bhi bani hai or issi samaj ne ussai apnaya bhi hai...bus aap mei itni himmat honi chahiye ki aap apne kadam par bharosa kartey ho..apne aap par bharosa kartey ho...
Pyar ke baarey mei likhtey likhtey mein biased ho gayi ladke or ladki ki is duniya mei importance ko lekar...kyunki likhety likhtey yehi samajh aaya ki is duniya mei koi bhi faisla agar ye samaj leta hai to wo ladki ki zindgi badal deta hai...