Wednesday, July 1, 2009

Media- Different Or Same..?

Rumours har jagah hotey hai...har jagah log dusron ke baaren mei gossip kartey hain...meine ek bussiness office mein bhi kam kiya hai or media world mei abhi hun...jab mein marketing work mei thi to humarey office mei koi kisi se zyada baat karta to log unke baaren mei rumours udane lagtey ki unke beech affair hai etc etc....to mujhe lagta yaar kitne choti soch ke log hai..inhe shayad baki rishtey jo is duniya mei hain unke baaren mein nahi pata...mujhe lagta ki chalo koi baat nahi...
Jab mei media mei aayi..to mujhe laga media ek aisi duniya jahan soch ko azadi hai..logon ko azadi hai..wahan logo ki soch alag hoti hai...haan bahar zarur suna tha ki media ladkiyon ke liye theek nahi...lekin laga ki ye sirf bollywood serials tak ki baat hai..news channel ek repo rakhta hai..duniya ke samne iska ek standard hai..news media ek aisa mazboot hissa hai samaj ko jo uski achai burai ko uthata hai..jo har roz khabro ko dikata hai..kisi ladki ke sath kisi ne chedchad ki to media ussai tab tak dikhata hai jab tak khabar ka asar na ho jaye...ye meri soch thi jab tak mei is news media se door thi..par jab iska hissa bani to pata chala ye wo nahi jo dikhta hai..iski achaiyan hai bahot hai par iski buraiyan ussai battar hai...

jab mujhe kuch din hue is media world mei to laga ye dinya jhoot,jelousy,conservative soch ke sath bani hai....yahan par bhi log dusron ke baaren mei galat baaten kartey hai..i mean jitna meine bahar suna ussai zyada hai yahan...log sabse pyar se baat kartey hai or peeth piche unhi ki buraiyan or unhe kisi bhi tarah neecha dikhane ki koshish kartey hai..jo zyada powerful hai wo apne se nichon ka exploitation karne se peeche nahi hut tey...seniority ka fayada utha kar ladkiyon se aise joke kartey hai ki jo shayad unhe pasand nahi aarahe par wo kuch keh nahi sakti...aagey badhne ke liye itni chamchagiri chaplusi..apne kam par shayad bharosa nahi...yahan to agar raat ki shift lag jaye kisi ladki ki to kuch samay baad uske baaren mei aise rumours udtey hain ki man karta hai ki..............
ladkiyon ko isliye rakha jata hai kyunki unki face value hai ya wo ek ladki hai jissai bakiyon ka kam karne mei dil laga rehta..my foot......ye special show ladka karega ladki nahi kyunki wo nahi kar sakti.....media samaj duniya ka iasa hissa mana jata hai jo jagrook hai..par kahan usi purani soch male domination inhi ke sath ye media bhi chalta hai..koi ladki aagey badi to kehtey hai paka koi mehraban hua hai..kyun kya ladkiyon ke paas talent nahi kya unki soch itni sahi ye aagey nahi ki wo is media world ka hissa ban sakey ya issai chala sakey...bahot hi choti soch hai yahan ke logon ki isme ladke ladkiyan dono shamil hai...kisi ek ki galti nahi dono zimmedar hai....
Par wahin isme kuch ache log hai..jo kam or logo ke kabliyat par dhyan dekar unhe responsibilty dete hain..na ki ye soch kar wo ladka hai ya ladki...shayad iski wajah se aaj bhi paisa kamane apni masti karne ke alawa yahan journalism or sach zinda hai...jiski wajah se log aaj bhi news media ko samaj ka ek acha hissa bhi mantey hai....or shayad dheerey dheery ye sudhar ki taraf hai shyad isliye ladkiyon ki jagah bhi is media mei banti ja rahi hai....