Friday, April 24, 2009

Why people are so selfish?

Insaan ishwar ne kitni khoobsurat chiz banai hai....usme har wo ehsaas usne bhara hai jo ussai ishwar ka farishta banata hai.....usne hume yahan kuch ache kam karne ke liye bheja..is bejaan dharti par pyar karne bheja...or ek dusre ka sath dete hue jine ke liye bheja.....usne har wo ache ehsaas jo bhalai se hokar bhalai ke liye guzartey hai us rastey par chalne ke liye bheja... Par pata nahi kyun yahan aatey hi wo ishwar ka farishta sab bhool gaya....usne har us ehsaas ka tod nikal liya jo ussai khush kar sakta tha...pyar ko marne ke liye nafrat ko janm diya...sath ko hatane ke liye batwara caste status....dusro ki bhalai to door ki baat hai aj to apno ko hi musibat mei mar sakta hai ye farishta.....
Bharosa vishwas jo mazbooti hai inssaniyat ki,khatm hogayi hai....yahan koi kisi par bharosa nahi karta....or kare bhi kyun..jab karta hai bharos, to usai todne ke firak mei kai hath baithe hai chup ke....Mei ussi ishwar ki beti hun....shayad meine abhi is duniya ko utna nahi jana..shayad mere paas abhi utne dukh nahi aaye jiski wajah se log apni niyat apna zameer bech detey hai....mujh mei ab bhi us ishwar ki chavi basti hai...aaj bhi agar mei pooja na karun aankhen baand kar apne dil mei jhakti hi hun..kyunki mujhe pata hai mere dil mei ab bhi us ishwar ke ache karm bastey hain..aj bhi mein unhi raston pe chalti hun jiske liye usne hume yahan bheja hai....

Zindgi mein ache waqt ya bure waqt ko dekhne ke liye zyada zindgi jine ki zarurat nahi..or ye humse acha kon janta hai...aaj as pass ki hawa bht chubh rahi hai...aisa lag raha hai mein aise pinjre mei aaker fas gayi hun jahan sachai pyar insaaniyat koi nahi janta...koi bhi itna matlabi kaise ho sakta hai..kaise koi sirf apne baaren mei soch sakta hai...kya yahan kisi ko kisi ki parwah nahi...gairon se to kya shikayat aaj kal to apno se zyada kisi ne dhoka nahi diya... Is waqt aisa lag raha hai ki aagey sab andhera hai..nahi pata ki kya karna hai....ek baar to man kar raha hai ki apni achai chorh dun..or inhi ki tarah inhi se paish aaun..par kaise? mujhe aise sanskar nahi hai...mein aaj bhi inssan hun jo ehsaas karta hai...jo dusron ka bhi sochta hai....
Aaj jab mujhe samjh nahi aaraha ki kya karun...mei tootongi nahi,kyunki mujhe pata hai meine aaj tak kuch galat nahi kiya..or wo jo upar baitha hai ussai pata hai agar mei tooti to uska ek mandir toot jayega...mujhe pata hai wo mujhe kabhi himmat harne nahi dega...jo bhi hoga mei uska samna karungi..bina apni insaaniyat apne sanskar khoye...wese bhi bura waqt zyada der tak nahi rehne wala mujhe pata hai.. puri himmat hai issai ladne ke liye...kyunki mujhe pata hai mujh mein wo baat hai ki mei aise logon ko unki jagah dikha sakti hun jo khokhley ho chukey hain....or ek din mei zarur unhe unki jagah dikhaungi....Mera vada hai apne aap se.....Baki mujhe jinpar bharosa hai mujhe pata hai wo mere sath humesha hai...mere liye yehi bht hai mein mere dost or mere ishwar(mom dad)
God Bless Them who cannot bless anyone....

Wednesday, April 22, 2009

Nishant Chaturvedi...Big Boss

Jab mei pehli baar VOI mein aayi tab wahan ek hi chehra tha to jo mera bestfreind pehchanta tha wo tha Nishant chaturvedi ka chehra...Mein news channels se zara durr hi rehti thi jab tak is jagah nahi thi...Par ye hi ek chehra tha jisko dekh kar lagta tha ki han is insaan mei koi to baat zarur hai.... kai baar hum VOI aaye..tab Nishant hi aise shaks they jo humey motivate kartey they....hume sikhatey they....jab tak yahan aaye nahi they seniors ko lekar kafi sare sawal they par jab Nishant sir samne aatey they to lagta tha ki nahi ye log ache hai...Meine apne doston se inke baaren mei bahot suna ki ye bahot ache hain..bht support kartey hai...or meine inka kam karne ka tarika team ko chalane ka tarika dekha tha....Fir jab hum intern ke taur par yahan aaye to sabke departments baten ja rahe they...tab meine apne best frnd se kaha ki kitna acha hoga na ki agar mujhe Nishant sir as a mentor milen...And guess what wohi hua...
Inse kabhi itni baat to nahi hui...Par Han professionaly or news room mei as a person jitna jana wo kafi tha.....
Kai baar apko mentor diye jatey hai..kai baar ap khud apna mentor chuntey ho..or meine inhe chuna tha..kyunki is shaks mei wo har baat thi..jo mujhe sikhni thi...inki leadership quality sabse bemisal hai...inhe pata hai ki jo log tumharey under kam kar rahe hai wo tumharey sirf employees nahi tumhari team hai...or he is a best boss in my opinion...
Jab mein inki team mei gayi...thodi dari hui thi kyunki meine suna tha ye bahot kam karatey hai..or dhang se kam na karo to jhad bhi utne ache se hi lagatey hain...Par aisa kuch nahi hua..haan isme koi shak nahi ki ye kam thoda bhi karaye par inhe best chaiye hota tha...werna tum free ho jo chahey karo.....
Newsroom mein hasi mazak karna...logo ko pakad pakad kar apne jokes sunana...Jaise hi bhari si awaz sunayi dey(Fan of his Voice..mujhe Big Boss jaisi lagti hai..[;)]},News room mei halchal shuru ho jaye,or perfume ki zor dar khushbu aaye to samjh lo the Horror of the Department aagaye[:)]....bachpana lagta tha..par isi se wahan ka mahol kafi mushkilon mei hone ke bavjood khush rehta tha...office se zyada parivar ki tarah Niahant sir ne sabko rakha...humesha sabko sath lekar chaley..sabko jod kar rakha...
Aaj mujhe pata chala wo VOI chorh ker India Tv chaley gaye...Jo shayad sabke liye ek jhatka hai..han rumours to ud rahe they is baaren mei par aaj pakka bhi ho gaya..ab sab wohi kam kam ...ab Nishant's joke sunney ko nahi milengey...na hi ravan wali hasi sunney ko milegi....U r the Best Nishant sir...
We all gonaa miss u alot..........
And i miss ur JAT'S full form or mujhe jatni kehker chidhana....
Have a great life....