Friday, April 24, 2009

Why people are so selfish?

Insaan ishwar ne kitni khoobsurat chiz banai hai....usme har wo ehsaas usne bhara hai jo ussai ishwar ka farishta banata hai.....usne hume yahan kuch ache kam karne ke liye bheja..is bejaan dharti par pyar karne bheja...or ek dusre ka sath dete hue jine ke liye bheja.....usne har wo ache ehsaas jo bhalai se hokar bhalai ke liye guzartey hai us rastey par chalne ke liye bheja... Par pata nahi kyun yahan aatey hi wo ishwar ka farishta sab bhool gaya....usne har us ehsaas ka tod nikal liya jo ussai khush kar sakta tha...pyar ko marne ke liye nafrat ko janm diya...sath ko hatane ke liye batwara caste status....dusro ki bhalai to door ki baat hai aj to apno ko hi musibat mei mar sakta hai ye farishta.....
Bharosa vishwas jo mazbooti hai inssaniyat ki,khatm hogayi hai....yahan koi kisi par bharosa nahi karta....or kare bhi kyun..jab karta hai bharos, to usai todne ke firak mei kai hath baithe hai chup ke....Mei ussi ishwar ki beti hun....shayad meine abhi is duniya ko utna nahi jana..shayad mere paas abhi utne dukh nahi aaye jiski wajah se log apni niyat apna zameer bech detey hai....mujh mei ab bhi us ishwar ki chavi basti hai...aaj bhi agar mei pooja na karun aankhen baand kar apne dil mei jhakti hi hun..kyunki mujhe pata hai mere dil mei ab bhi us ishwar ke ache karm bastey hain..aj bhi mein unhi raston pe chalti hun jiske liye usne hume yahan bheja hai....

Zindgi mein ache waqt ya bure waqt ko dekhne ke liye zyada zindgi jine ki zarurat nahi..or ye humse acha kon janta hai...aaj as pass ki hawa bht chubh rahi hai...aisa lag raha hai mein aise pinjre mei aaker fas gayi hun jahan sachai pyar insaaniyat koi nahi janta...koi bhi itna matlabi kaise ho sakta hai..kaise koi sirf apne baaren mei soch sakta hai...kya yahan kisi ko kisi ki parwah nahi...gairon se to kya shikayat aaj kal to apno se zyada kisi ne dhoka nahi diya... Is waqt aisa lag raha hai ki aagey sab andhera hai..nahi pata ki kya karna hai....ek baar to man kar raha hai ki apni achai chorh dun..or inhi ki tarah inhi se paish aaun..par kaise? mujhe aise sanskar nahi hai...mein aaj bhi inssan hun jo ehsaas karta hai...jo dusron ka bhi sochta hai....
Aaj jab mujhe samjh nahi aaraha ki kya karun...mei tootongi nahi,kyunki mujhe pata hai meine aaj tak kuch galat nahi kiya..or wo jo upar baitha hai ussai pata hai agar mei tooti to uska ek mandir toot jayega...mujhe pata hai wo mujhe kabhi himmat harne nahi dega...jo bhi hoga mei uska samna karungi..bina apni insaaniyat apne sanskar khoye...wese bhi bura waqt zyada der tak nahi rehne wala mujhe pata hai.. puri himmat hai issai ladne ke liye...kyunki mujhe pata hai mujh mein wo baat hai ki mei aise logon ko unki jagah dikha sakti hun jo khokhley ho chukey hain....or ek din mei zarur unhe unki jagah dikhaungi....Mera vada hai apne aap se.....Baki mujhe jinpar bharosa hai mujhe pata hai wo mere sath humesha hai...mere liye yehi bht hai mein mere dost or mere ishwar(mom dad)
God Bless Them who cannot bless anyone....

1 comment:

  1. annie जी नमस्कार सबसे पहले तो आप की सोच, इच्छा शक्ति ,कर्तव्य परायणता और सकारात्मकता को मेरा कोटि कोटि प्रणाम आज कल के समय मेंमें भी यैसे लोग है जो वैसी भावनाए रखते है , जो इन्सान को इन्सान बनती है न की नरपशु बहुत खूब लिखा है है जरुरत है है इस पर अमल करने की मैं तो इस सोच मेंमें आप का समर्थक हो गया वाकी का पता नहीं
    हाँ एक राय दूंगा आप देव नगरी में लिखे और ब्लॉग वाणी पर लिंक हो जाये बहुत से सामान विचार धरा वाले लोग मिलेगे
    सादर
    प्रवीण पथिक
    9971969084

    ReplyDelete